Thursday 14 April 2011

parindo ke udaan

maine apne blog ka naam "KATI PATANG" se badal kar "PARINDO KE UDAAN" ko is liye rkha hai ki ek insaan ki SOCH,SAPNE or KHYAAL ek paride ke udaan se kam nahi hote hain........
ek parinda aakash ki uchayi ko chune ke liye is had tak apne pankho me udaan bharta hai ki wah parinda apne pankho ke jariye aakash me ud chalta hai..Aakash me udte parinde ko dekh kar uski mehnat or uchyi ko chhune ki uski lagan uski udaan se saaf najar aati hai..........Isi tarah har insaan parinde ke hi bhanti aakash ki uchiyo ko chhune ka sapne dekhta hai........un uchiyo ko jisko chune ke liye wah insaan apne jivan ke har mod pr din-raat MEHNAT ki kadi si kadi PARICHHA deta rahta hai............Insaan ke jivan ke in kathin palo me SAFALTA or ASAFALTA dono hi milti hai......ASAFAL INSAAN ko inhi parindo se sikhna chahiye jinko dekh-dekh kar wah insaan aakash ki uchiyo ko chune ki predna leta hai..........Qki Parinde bhi ek-baar me hi aakash ki ucchiyo ko nahi chhu lete........Aakash ki uchaiyo ko chhune ke liye ye Parinde bhi din-raat kadi si kadi Mehnat kar apne aapko aakash me udne ke kabil bana lete  hai.......
Aisi baat nahi ki ASAFALTA sirf  insaan ko hi milti hai.......ASAFALTA in PARINDO ke PANKHO ko bhi milti hai lekin Asafal hone ke baad bhi ye kabhi NIRAASH nahi hote,Balki or jyada mehanat kar ye aakash ki uchiyo ko ek na ek din chhu hi lete hai...........Aise insaan ko bhi ASAFALTA se dar kar bhagna nahi chahiye or na hi NIRAASH ho kar ye sochna chahiye ki HAY AB HUMARA KYA HOGA......Balki Niraash hone ki jagah Inhi Prindo ki tarah itni Mehnat karo or apne man me Wishvaas ka ye diya humesa jalaye rakho ki AAJ HUME ASFALTA MILI HAI TO KYA HUA,EK NA EK DIN SAFALTA HUMARE KADAMO KO JARUR CHHUYE GI OR HUMARI MANJIL HUME JARUR MILEGI

APNE PANKHO KO ITNA BAL DO KI WO AAKASH KI UCHIYO KO CHHUNE KE KABIL HO JAYE,
APNE AAPKO ITNA SAHAS DO KI NIRASHA KABHI  TUMHARE PAAS BHI NA AAYE,
EK AAS KA DIYA HUMESA KE LIYE APNE MAN ME JALA LO,
TAKI TUMHARA WISHVAAS KABHI DOLNE NA PAYE,,,,,,,,,,,SHIKHA KHARE

4 comments:

  1. bahut accha likha bahut ashawaadi hai tumhare vichaar

    sach me sabko aisha hi hona chahiye

    "try n try again until u success"

    ReplyDelete
  2. try to ignore extra dots "......." . baki title mera socha hua tha to thoda credit to dena tha na mujhe !!!

    ReplyDelete
  3. kya baat hai Vicky likha maine hai or credit tum batoro ge.............hone nahi dungi

    ReplyDelete
  4. its really a gud lesson for those who consider themselves to be little than others..they must get inspired by this article..wau yr great!! kep it up..

    ReplyDelete